sapney to sab dekhtey hain
maine bhi dekh liya ek,
na kuch socha na samjha
jaagti aankhon ne dekh liya ek
laga aakash ko choo loonga
hawa se batiyaa loonga,
lekin wehem thaa sab, abb to bas
bikhrey pannon ko chunn loonga
sapney tootey hain aur dil bhi
lekin aaj bhi kal pe aas hai,
ye nahin toh kuch aur sahi
ek aur sapna mere paas hai
dil hi to toota hai hauslaa nahin
sapna hi to toota hai soch nahin,
ek aur sapna dekhonga
ek aur panna bharonga
umeed to aaj bhi hai
ki shayad kal haqeeqat maaneygi,
pura nahin to thoda sahi
aakash mujhko bhi wo baategi
abb to bas kal ka intezaar hai
mann aaj bhi uss udaan ke liye taiyaar hai
ye sapna hi to hai, sapney to sab dekhtey hain
maine bhi dekh liya ek
maine bhi dekh liya ek,
na kuch socha na samjha
jaagti aankhon ne dekh liya ek
laga aakash ko choo loonga
hawa se batiyaa loonga,
lekin wehem thaa sab, abb to bas
bikhrey pannon ko chunn loonga
sapney tootey hain aur dil bhi
lekin aaj bhi kal pe aas hai,
ye nahin toh kuch aur sahi
ek aur sapna mere paas hai
dil hi to toota hai hauslaa nahin
sapna hi to toota hai soch nahin,
ek aur sapna dekhonga
ek aur panna bharonga
umeed to aaj bhi hai
ki shayad kal haqeeqat maaneygi,
pura nahin to thoda sahi
aakash mujhko bhi wo baategi
abb to bas kal ka intezaar hai
mann aaj bhi uss udaan ke liye taiyaar hai
ye sapna hi to hai, sapney to sab dekhtey hain
maine bhi dekh liya ek